gumrāh  ho  gayā  rah-e-hamvār  dekh  kar
chalnā  thā  dil  ko  jāda-e-dushvār  dekh  kar
jo  sar  jhukā  thā  sañg-e-dar-e-yār  dekh  kar
ūñchā  huā  hai  phir  rasan-o-dār  dekh  kar
shorīdgi-e-sar  ko  na  thā  koī  mashġhala
dil  ḳhush  huā  hai  raah  meñ  dīvār  dekh  kar
kyā  maiñ  kahūñ  ki  haath  se  kyuuñ  jaam  gir  paḌā
sarshār  ho  gayā  tujhe  sarshār  dekh  kar
garche  ye  daur  lafzoñ  kī  bāzīgarī  kā  hai
kartā  hai  vaqt  faisla  kirdār  dekh  kar
tūfān-e-tīrgī  thā  bahut  dahshat-āfrīñ
himmat  baḌhī  hai  sham-e-ruḳh-e-yār  dekh  kar
dil  aur  dimāġh  donoñ  mere  ham-safar  haiñ  aaj
hairat  na  kījiye  merī  raftār  dekh  kar
'shiblī'  samand-e-shauq  ko  mahmez  ik  lagī
'ġhālib'  kī  is  zamīn  ko  gul-kār  dekh  kar