dil  ke  darvāze  pe  dastak  kī  sadā  koī  nahīñ
kaun  sī  manzil  hai  ye  āvāz-e-pā  koī  nahīñ
majlis-e-ālām  se  kis  tarah  nikle  zindagī
ye  vo  zindāñ  hai  ki  jis  kā  rāsta  koī  nahīñ
karbalā  to  aaj  bhī  miltā  hai  har  har  gaam  par
shahar  meñ  lekin  husain-e-bā-vafā  koī  nahīñ
kuchh  samajh  kar  hī  kiyā  hai  maiñ  ne  us  kā  intiḳhāb
kyā  huā  us  raah  meñ  gar  naqsh-e-pā  koī  nahīñ
maiñ  jo  uTThā  to  uThā  saarā  zamāna  mere  saath
tum  jo  uTThe  to  uThā  dil  ke  sivā  koī  nahīñ
ai  shab-e-furqat  kahāñ  bhaTkegī  chal  mere  hī  ghar
ye  vo  bastī  hai  jahāñ  raushan  diyā  koī  nahīñ
ātish-e-ehsās  meñ  jalte  raho  'shiblī'  sadā
shā.irī  se  baḌh  ke  duniyā  meñ  sazā  koī  nahīñ