sehr-e-talab  na  ḳhvāb-e-fusūñ  mujh  ko  mil  gayā
niiñd  aa  ga.ī  to  ḳhud  hī  sukūñ  mujh  ko  mil  gayā
maiñ  chāhtā  huuñ  ḳhaak  uḌā.ūñ  jahān  kī
ye  kaisī  aag  kaisā  junūñ  mujh  ko  mil  gayā
ye  phuul  le  kar  us  kī  taraf  jā  rahā  thā  maiñ
lekin  vo  rāste  meñ  hī  kyoñ  mujh  ko  mil  gayā
kal  tak  to  āñsūon  se  pareshāñ  thā  aur  ab
ahvāl-e-dil  bhī  aaj  zubūñ  mujh  ko  mil  gayā
us  peḌ  ko  ghamanD  bahut  thā  bahār  meñ
lekin  ḳhizāñ  meñ  vo  bhī  nigūñ  mujh  ko  mil  gayā
ik  yaad  ghar  meñ  saa.e  kī  sūrat  rahī  'fidā'
ik  aks  aa.ine  ke  darūñ  mujh  ko  mil  gayā