yuuñ  kisī  baat  se  ab  Dar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
vahī  hotā  hai  jo  aksar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
phuul  lagtā  nahīñ  hargiz  tire  hoñToñ  kī  misāl
sarv  tujh  qad  ke  barābar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
koī  tālāb  na  mahtāb-e-shab-e-vasl  kā  aks
ye  mire  ḳhvāb  kā  manzar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
jaane  kyā  ramz  hai  lagtā  nahīñ  sahrā  sahrā
aur  samundar  bhī  samundar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
dar-o-dīvār  se  pahchān  baḌhā.ūñ  kaise
jab  mirā  ghar  hī  mirā  ghar  nahīñ  lagtā  mujh  ko
baiThe  rahnā  hai  'fidā'  rāhguzar  meñ  ya.anī
aa  ke  jab  tak  koī  patthar  nahīñ  lagtā  mujh  ko