huā  na  mujh  se  koī  ham-kalām  gardish  meñ
dhuāñ  hue  haiñ  mire  sub.h-o-shām  gardish  meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb  huā  har  zamāna-e-vahshat
utar  chuke  haiñ  sabhī  ḳhush-ḳhirām  gardish  meñ
maiñ  bhāgtā  huuñ  sar-e-dasht-e-karbalā  aur  phir
izāfa  karte  haiñ  aa  kar  imaam  gardish  meñ
mirī  talab  mirī  raftār  ke  munāfī  hai
maiñ  ḳhaas  shaḳhs  huuñ  rahtā  huuñ  aam  gardish  meñ
panap  rahā  hai  kahīñ  dil  meñ  shauq-e-dīd-o-shunīd
dhaḌak  rahe  haiñ  zamāne  mudām  gardish  meñ
badal  badal  ke  ka.ī  haath  hashr  uThātā  hai
banā  rahā  hai  koī  rāh-e-jām  gardish  meñ
ḳhudā  kā  shukr  adā  kartā  huuñ  maiñ  sub.h-o-masā
laboñ  pe  rakh  ke  darūd-o-salām  gardish  meñ
badaltā  rahtā  hai  chalne  se  mai-kade  kā  nizām
ki  chal-chalāv  se  rahtā  hai  jaam  gardish  meñ
rah-e-fanā  pe  qadam  rakh  ke  phañs  na  jā.ūñ  kahīñ
lagā  rakhā  hai  ḳhudā.ī  ne  daam  gardish  meñ
rukā  huā  huuñ  maiñ  ik  gardishī  jazīre  par
guzar  rahe  haiñ  mire  sub.h-o-shām  gardish  meñ
ruke  hue  haiñ  sabhī  dost  kyoñ  'fidā'  mire
milegā  un  ko  yaqīnan  davām  gardish  meñ