Nawed fidaa sattii

lafz tartib se rakhta hun main tamsil ke sath

Nawed fidaa sattii

1982
lafz tartīb se rakhtā huuñ maiñ tamsīl ke saath
kaun kartā hai bayāñ falsafa tafsīl ke saath
ashk paidā huā āñkhoñ kī zamīñ se yak dam
aa.ina TuuT gayā hijr kī takmīl ke saath
merī āvāz bahut duur talak jā.egī
āyat-e-hijr sunā.ūñgā maiñ tartīl ke saath
mere ash.ār meñ paiġhām thā duniyā ke liye
merā dīvān bhī rakkhā gayā injīl ke saath
din nikalte hī utartā hai khule paanī meñ
jaane kyā rabt hai sūraj kā mirī jhiil ke saath
merī jānib bhī to kuchh tishna-dahāñ aa.e giiñ
merā dariyā bhī to bahtā hai tire niil ke saath
raushnī zaḳhm chhupā.e bhī to kaise āḳhir
maiñ ne sūraj ko shikasta kiyā qindīl ke saath
tū havas-zād hai ai dost badan kā maarā
terā kuchh ḳhaas ta.alluq hai azāzīl ke saath
un kī parvāz pe aflāk 'fidā' hotā hai
ab to shāhīn bhī uḌte haiñ abābīl ke saath
Top Urdushayar.com