Adil Hayat

bebasi ki dhup hai ghamgin kya

Adil Hayat

Madhubani, Bihar, India

1975

bebasī dhuup hai ġhamgīn kyā

phir rahā hai dar-ba-dar miskīn kyā

hañs rahā huuñ bebasī dhuup meñ

ho rahī hai zauq taskīn kyā

aa rahī haiñ dastakoñ par dastakeñ

zindagī phir ho ga.ī sañgīn kyā

aañkh hañste hañste kyuuñ rone lagī

har ḳhushī kartī hai bas ġhamgīn kyā

ashk 'ādil' rahā huuñ āj-kal

ho gayā hai zā.iqa namkīn kyā

Top Urdushayar.com