Shahzad Nayar

mere rog ka na malal kar mere chaara-gar

Shahzad Nayar

1973
mire rog kā na malāl kar mire chāra-gar
maiñ baḌā huā use paal kar mire chāra-gar
sabhī dard chun mire jism se kisī ism se
mirā añg añg bahāl kar mire chāra-gar
mujhe sī de sozan-e-dard rishta-e-zard se
mujhe zabt-e-ġham se bahāl kar mire chāra-gar
mujhe chiir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se
mirā indimāl-e-muhāl kar mire chāra-gar
ye badan ke aarzī ghaav haiñ unheñ chhoḌ de
mire zaḳhm-e-dil kā ḳhayāl kar mire chāra-gar
faqat ek qatra-e-ashk merā ilaaj hai
mujhe mubtalā-e-malāl kar mire chāra-gar
meñ jahān dard meñ kho gayā tujhe kyā milā
mujhe imtihān meñ Daal kar mire chāra-gar
mujhe apne zaḳhm kī ḳhud bhī koī ḳhabar nahīñ
so na mujh se koī savāl kar mire chāra-gar
tirā haal dekh ke ro.egā tirā chāra-gar
mirā dil na dekh nikāl kar mire chāra-gar
Top Urdushayar.com