Mehdi Pratapgarhi

tanaben kaTne lagin meri KHush-bayani ki

Mehdi Pratapgarhi

tanābeñ kaTne lagīñ merī ḳhush-bayānī kī
ki ab vo rut hī nahīñ terī mehrbānī kī
Dubo diyā hai mujhe merī ḳhush-yaqīnī ne
ye baat ġhaur-talab hai mirī kahānī kī
ḳhizāñ meñ hijr kī Duubā visāl kā mausam
magar hai zehn meñ ḳhushbū sī raat raanī kī
kabhī to aa.egā sāhil tirī rifāqat kā
abhī maiñ baiThā huuñ kashtī meñ bad-gumānī kī
shagufta lahje meñ vo mujh se boltā hī nahīñ
jahāñ meñ dhuum sī hai jis kī ḳhush-bayānī kī
kalī chaTak uThī māhaul ho gayā gul-bez
jo baat aa.ī kabhī us kī ḳhush-bayānī kī
gulāb chehre umīdoñ ke bujh ga.e 'mehdī'
na baat kījiye mausam kī mehrbānī kī
Top Urdushayar.com