Kashif Rafiq

kuchh bhi kar lijiye wo waza badalne ke nahin

Kashif Rafiq

Abbaspur, Jammu and Kashmir, India

1979
kuchh bhī kar lījiye vo vaz.a badalne ke nahīñ
ya.anī ham karb-o-aziyyat se nikalne ke nahīñ
ham bhale kūcha-e-vīrāñ meñ akele bhaTkeñ
is zamāne kī ravish par kabhī chalne ke nahīñ
aa.ina hai hameñ jab tak tirī ḳhandāñ sūrat
ham kisī rañj kī tasvīr meñ Dhalne ke nahīñ
haañ kabhī soz-e-darūñ un ko ghulā de shāyad
varna nāloñ se hamāre vo pighalne ke nahīñ
ho chuke ḳhaak jo jal kar vo patañge ai sham.a
dūsrī baar tire sho.ale se jalne ke nahīñ
sehn-e-dil meñ jo lagā.e the tamannā ke shajar
aisā lagtā hai vo imsāl bhī phalne ke nahīñ
jab talak manzil-e-ulfat pe nazar hai 'kāshif'
paañv apne kisī Tiile se phisalne ke nahīñ
Top Urdushayar.com