na.e  dinoñ  ke  na.e  sahīfoñ  meñ  zikr-e-mehr-o-vafā  nahīñ  hai
mohabbatoñ  kī  jasāratoñ  kī  sazā  nahīñ  hai  jazā  nahīñ  hai
nigāh  ke  shoḳh-pan  ko  begānagī  kā  aaseb  Das  gayā  hai
muġhāyrat  kā  fusūñ-zada  dil  junūñ  ke  shāyāñ  rahā  nahīñ  hai
koī  bhī  sajnī  kisī  bhī  sājan  kī  muntazir  hai  na  muztarib  hai
tamām  baam  aur  dar  bujhe  haiñ  kahīñ  bhī  raushan  diyā  nahīñ  hai
hayāt  ke  pur-jamāl  manzar  pe  koī  nutq  aur  qalam  na  mahkā
nayā  qalamkār  nudrat-e-fan  kī  ḳhushbuoñ  par  fidā  nahīñ  hai
yahīñ  pe  kal  ham  se  tum  se  yaaro  muaddatoñ  ko  janam  milā  thā
dayār-e-yārāñ  vahī  hai  lekin  koī  vafā-āshnā  nahīñ  hai
visāl-ghaḌiyoñ  firāq-lamhoñ  ke  ġham,  tarab  sab  fasānche  haiñ
milan  kā  aur  nā-milan  kā  sukh  dukh  diloñ  kī  tah  meñ  chhupā  nahīñ  hai
maiñ  dair  o  ka.aba  meñ  DhūñD  aayā  to  maiñ  ne  paayā  ye  ilm  o  irfāñ
maiñ  ek  insāñ  huuñ  merī  hastī  se  koī  hastī  varā  nahīñ  hai
vo  chashm-e-bīnā  kī  manzileñ  thiiñ  ye  kor-chashmī  ke  marhale  haiñ
purānī  pahchān  mar  ga.ī  hai  kisī  se  koī  milā  nahīñ  hai