yaar kī rahguzār ko bhī dekh
phir ġham-e-rozgār ko bhī dekh
go chaman meñ haiñ ḳhuun ke chhīñTe
par zarā lāla-zār ko bhī dekh
aadmī qābil-e-yaqīn nahīñ
ek dekhā hazār ko bhī dekh
falsafa falsafa hī to hai bas
zindagī ke nigār ko bhī dekh
donoñ kā lutf ḳhatm kar loge
gul ko bhī dekh ḳhaar ko bhī dekh
zaḳhm ko maiñ ne kar liyā nāsūr
dekh is shāh-kār ko bhī dekh
muft badnām hai mirī vahshat
'mīr'-jī ke shi.ār ko bhī dekh
zard gul aur laal patte haiñ
'arsh' aisī bahār ko bhī dekh