Zafar Ansari Zafar

mujhko ta-umr taDapne ki saza hi dena

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
mujh ko tā-umr taḌapne kī sazā hī denā
tujh ko manzūr agar ho to bhulā hī denā
ai ġham-e-hijr vo tohmat jo lagā.e mujh par
merī be-laus mohabbat kī gavāhī denā
ye alag baat ki ho jā.ūñ mohabbat meñ tabāh
tū na mujh ko kabhī ehsās-e-tabāhī denā
vo jo majbūr kareñ sharh-e-ġham-e-furqat ko
ashk-āmez nigāhoñ se sunā hī denā
un ke dāman ko mah-o-mehr se karnā ma.amūr
mere hisse meñ jahāñ bhar kī syāhī denā
vo javāñ ke kahīñ fitna-e-daurāñ na bane
husn ko fitrat-e-ma.ashūq-nigāhī denā
aaj bhī yaad hai ai dost ināyat terī
vo tirā itnā hañsānā ki rulā hī denā
mere har sher meñ rūdād-e-sitam hai un kī
ai 'zafar' merī ġhazal un ko sunā hī denā
Top Urdushayar.com