Zafar Ansari Zafar

ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
ye jo terī āñkhoñ meñ ma.anī-e-vafā sā hai
kāsa-e-tamannā ke harf-e-mudda.ā sā hai
mere ḳhuun kī surḳhī surḳhī-e-vafā Thahrī
jis se rū-e-qātil bhī surḳh-rū banā sā hai
qatl-gāh-e-armāñ hai jis kī mahfil-e-ishrat
vo nigār-e-fitna-zā paikar-e-vafā sā hai
jab se mujh ko hāsil hai tere qurb kī daulat
naqsh-e-sañg-e-pā.inda mujh pe aa.ina sā hai
lafz aur ma.anī kā ye ta.alluq-e-bāham
pesh-e-dīda-e-bīnā rishta-e-vafā sā hai
raḳhsh-e-fikr ko apne kījiye zarā mahmez
nau-ba-nau mazāmīñ kā dar abhī khulā sā hai
bāb-e-shahr-e-irfāñ ke nūr-e-chashm kā hai faiz
parcham-e-jahūl-e-vaqt jo jhukā jhukā sā hai
dushmanoñ ke narġhe meñ maiñ khaḌā huuñ tanhā sā
ma.arka mohabbat kā jañg-e-karbalā sā hai
hoñT tere phūloñ se baat terī ḳhushbū sī
ruup chāñd sā terā dil bhī aa.ina sā hai
parcham-e-mohabbat hai jab se mere hāthoñ meñ
dard dil-nashīñ sā hai zaḳhm dil-rubā sā hai
dam meñ sar uThātā hai dam meñ TuuT jaatā hai
dil bhī bahr-e-ulfat meñ koī bulbulā sā hai
shor-e-hashr barpā hai yā ki shor-e-tanhā.ī
haiñ bujhī bujhī āñkheñ dil Darā Darā sā hai
vo nigāh-e-jānāñ kā ġhamza-e-balā-an.gez
mus.haf-e-mohabbat ke harf-e-ibtidā sā hai
mere dil kī ḳhātir to ye fasāna-e-hastī
zaḳhm-e-be-rafū sā hai dard-e-lā-davā sā hai
bas tirī nigāhoñ meñ ehtijāj hai bātil
har jafā munāsib sī har sitam ravā sā hai
niiñd kyuuñ nahīñ aatī ḳhvāb ḳhvāb āñkhoñ ko
shahr-e-jāñ meñ har jānib kyuuñ ye rat-jagā sā hai
chehra-e-mohabbat par hai usī se tābānī
ye ġhubār pā-e-nāz ġhāza-e-vafā sā hai
mujh ko mil hī jā.egī ik na ek din manzil
bas isī tavaqqo par dil meñ hausla sā hai
kaun hai jo rakhtā hai dost is qadar mujh ko
ajnabī sī duniyā meñ kaun āshnā sā hai
ai 'zafar' na chhoḌegā vo mujhe duā denā
yuuñ to hai vo barham sā yuuñ to vo ḳhafā sā hai
Top Urdushayar.com