Zafar Ansari Zafar

aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
aap kī mujh pe jab bhī navāzish huī
mujh pe sañg-e-malāmat kī bārish huī
zindagī bhar rahegī mujhe yaad vo
ishq meñ jo mirī āzmā.ish huī
merā bachpan mujhe yaad aane lagā
titliyoñ kī jahāñ bhī numā.ish huī
mere dāman pe kīchaḌ uchhaltā nahīñ
kyā ḳhabar kyā raqīboñ meñ sāzish huī
jhuuT to jhuuT thā jhuuT hī vo rahā
bārhā sach banāne kī koshish huī
zulf bikhrā.e vo baam par aa ga.e
jab suhānī rutoñ kī sifārish huī
kitnā bad-zauq shahr-e-ġhazal hai 'zafar'
bahre gūñge kī har sū satā.ish huī
Top Urdushayar.com