Zafar Ansari Zafar

ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976

ye dasht-e-shauq lambā safar achchhā nahīñ lagtā

magar Thahrūñ kahāñ koī shajar achchhā nahīñ lagtā

yahī ik baat ab maiñ sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ

na jaane kyuuñ mujhe ab terā dar achchhā nahīñ lagtā

karam karte nahīñ kyuuñ tum mire qalb-e-shikasta par

mirā yuuñ ġham-zada rahnā agar achchhā nahīñ lagtā

nigāhoñ se jo ojhal us gul-e-ra.anā jalva hai

ye rañg-e-shām ye rañg-e-sahar achchhā nahīñ lagtā

udhar vo bhī bichhaḌ ke ham se kho.e kho.e rahte haiñ

akelā mujh ko bhī rahnā idhar achchhā nahīñ lagtā

uThī hai jab se ye dīvār-e-nafrat dal ke āñgan meñ

mujhe ai dosto ḳhud apnā ghar achchhā nahīñ lagtā

Top Urdushayar.com