zo.am-e-hastī  mire  idrāk  se  bāñdhā  gayā  hai
aur  badan  turra-e-pechāk  se  bāñdhā  gayā  hai
ek  aañsū  tirī  poshāk  se  bāñdhā  gayā  hai
yā  sitārā  koī  aflāk  se  bāñdhā  gayā  hai
ishq  ko  gesū-e-pechāk  se  bāñdhā  gayā  hai
aur  phir  gardish-e-aflāk  se  bāñdhā  gayā  hai
ḳhaak  uḌātā  huuñ  maiñ  tā-umr  nibhāne  ke  liye
ek  rishta  jo  mirā  ḳhaak  se  bāñdhā  gayā  hai
TuuTe  paḌte  haiñ  tamāshe  ko  yahāñ  par  naḳhchīr
aaj  sayyād  ko  fitrāk  se  bāñdhā  gayā  hai
kisht-e-vahshat  ho  jise  dekhnī  aa.e  dekhe
har  bagūla  ḳhas-o-ḳhāshāk  se  bāñdhā  gayā  hai
phir  vahī  harf-e-tamannā  hai  vahī  sā.at-e-dard
phir  hameñ  dīda-e-namnāk  se  bāñdhā  gayā  hai
ab  kisī  kūza-garī  kī  nahīñ  hājat  ki  mujhe
tā  fanā  ek  isī  chaak  se  bāñdhā  gayā  hai
ham  gunahgāroñ  kī  hai  āḳhirī  ummīd  vahī
ahd  ik  jo  shah-e-laulāk  se  bāñdhā  gayā  hai
kujā  ye  shoḳh-adā  duniyā  kujā  maiñ  'irfān'
mard-e-sāda  zan-e-bebāk  se  bāñdhā  gayā  hai