Sandeep Koul Nadim

chashm-e-tar hai koi sarab nahin

Sandeep Koul Nadim

1976
chashm-e-tar hai koī sarāb nahīñ
dard-e-dil ab koī azaab nahīñ
kaise is baat par yaqīñ kar luuñ
tū haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ
mausam-e-gul kā zikr rahne de
ye mirī baat kā javāb nahīñ
tū agar ġham se ajnabī hai to
haal apnā bhī ab ḳharāb nahīñ
maan letā huuñ maiñ nahīñ majnūñ
terā ruḳh bhī to māhtāb nahīñ
kyā karūñ husn kā tasavvur ab
tere chehre pe jab naqāb nahīñ
der pahchānñe meñ pal bhar kī
ye koī bā.is-e-iztirāb nahīñ
umr guzrī hai ma.azarat karte
ġhaflateñ merī be-hisāb nahīñ
Top Urdushayar.com