Aatish Bahawalpuri

zindagi guzri meri KHushk shajar ki surat

Aatish Bahawalpuri

zindagī guzrī mirī ḳhushk shajar kī sūrat
maiñ ne dekhī na kabhī barg-o-samar kī sūrat
ḳhuub jī bhar ke rulā.eñ jo nazar meñ un kī
qīmtī hoñ mire aañsū bhī guhar kī sūrat
apne chehre se jo zulfoñ ko haTāyā us ne
dekh lī shaam ne tābinda sahar kī sūrat
is na.e daur kī tahzīb se allāh bachā.e
masḳh hotī nazar aatī hai bashar kī sūrat
haram-o-dair se matlab na kalīsā se ġharaz
kaash ye bhī kahīñ hote tire ghar kī sūrat
nek a.amāl bhī auroñ ke nahīñ japte haiñ
aib apne nazar aate haiñ hunar kī sūrat
kyā koī us pe bhī uftād paḌī hai 'ātish'
abr barsā hai mire dīda-e-tar kī sūrat
Top Urdushayar.com