Aatish Bahawalpuri

sitam ko un ka karam kahen hum jafa ko mehr-o-wafa kahen hum

Aatish Bahawalpuri

sitam ko un karam kaheñ ham jafā ko mehr-o-vafā kaheñ ham

zamāna is baat par ba-zid hai ki nāravā ko ravā kaheñ ham

kuchh aisā saudā hai sab ke sar meñ mizāj bigḌe hue haiñ sab ke

koī bhī suntā nahīñ kisī kaheñ kisī se to kyā kaheñ ham

ye saarī bāteñ haiñ dar-haqīqat hamāre aḳhlāq ke munāfī

suneñ burā.ī na ham kisī na ḳhud kisī ko burā kaheñ ham

na jaane ham se hai kyā tavaqqo? nahīñ kisī tarah jān-baḳhshī

zamāna is pe bhī mo'tariz hai agar ḳhudā ko ḳhudā kaheñ ham

hamārī aa.heñ bhī be-asar haiñ hamāre naale bhī nā-rasā haiñ

vo dard jis na ho mudāvā use na kyuuñ lā-davā kaheñ ham

na din ko hai kuchh sukūñ mayassar na shab ko aatī hai niiñd ham ko

yahī mohabbat ibtidā hai to phir kise intihā kaheñ ham

yahī taqāzā hai maslahat isī meñ hai āfiyat bhī 'ātish'

kisī se dil ko jo rañj pahuñche use ḳhudā razā kaheñ ham

Top Urdushayar.com