mauj-e-dariyā  ko  piyeñ  kyā  ġham-e-ḳhamyāza  kareñ
rag-e-afshurda-e-sahrā  meñ  lahū  taaza  kareñ
dil  ke  mahbas  meñ  kareñ  zaat  kā  mātam  kab  tak
aao  bāhar  to  chaleñ  vaqt  kā  andāza  kareñ
ḳhuuñ  hai  ik  daulat-e-dil  luuT  hī  leñ  ahl-e-falak
chehra-e-dāġh-e-qamar  par  to  nayā  ġhāza  kareñ
uñgliyāñ  sard  haiñ  phūñkeñ  to  unheñ  hosh  meñ  laa.eñ
apne  sīnoñ  pe  likheñ  harf-e-vafā  taaza  kareñ
shīsha  thā  ik  ġham-e-dil  TuuT  ke  sāhil  pe  girā
muntashir  ret  ke  har  zarre  kā  shīrāza  kareñ
gurg-e-ehsās  se  bachne  kī  to  koī  nahīñ  raah
sag-e-taḳh.īl  pe  band  aañkh  kā  darvāza  kareñ