masal  kar  pheñk  duuñ  āñkheñ  to  kuchh  tanvīr  ho  paidā
jo  dil  kā  ḳhuun  kar  Dālūñ  to  phir  tāsīr  ho  paidā
agar  dariyā  kā  muñh  dekhūñ  to  qaid-e-naqsh-e-hairat  huuñ
jo  sahrā  gher  le  to  halqa-e-zanjīr  ho  paidā
sarāsar  silsila  patthar  kā  chashm-e-nam  ke  ghar  meñ  hai
koī  ab  ḳhvāb  dekhe  bhī  to  kyuuñ  ta.abīr  ho  paidā
maiñ  in  ḳhālī  manāzir  kī  lakīroñ  meñ  na  uljhūñ  to
ḳhutūt  jism  se  miltī  koī  tasvīr  ho  paidā
lahū  meñ  ghul  ga.e  jo  gul  dobāra  khil  bhī  sakte  haiñ
jo  maiñ  chāhūñ  to  siine  par  nishān-e-tīr  ho  paidā