Shamsur Rahman Faruqi

kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
kanār-e-bahr hai dekhūñgā mauj-e-āb meñ saañp
ye vaqt vo hai dikhā.ī de har hubāb meñ saañp
vo kaun thā mirā ham-zād tū na thā kal raat
jab us ke naam ko pūchhā kahā javāb meñ saañp
use mazāhir-e-hastī se saḳht ulfat thī
milā vo shaḳhs chhupā.e hue naqāb meñ saañp
guzishta raat mujhe paḌhte vaqt vahm huā
varaq pe harf nahīñ haiñ ye haiñ kitāb meñ saañp
ye Dhaltī raat ye kamre meñ gūñjtā sahrā
umaDtā ḳhauf hai dil meñ ki pech-o-tāb meñ saañp
tamām jalva-e-vahdat hai shaam ho ki sahar
hai jis hisāb meñ sahrā usī hisāb meñ saañp
Top Urdushayar.com