kanār-e-bahr  hai  dekhūñgā  mauj-e-āb  meñ  saañp
ye  vaqt  vo  hai  dikhā.ī  de  har  hubāb  meñ  saañp
vo  kaun  thā  mirā  ham-zād  tū  na  thā  kal  raat
jab  us  ke  naam  ko  pūchhā  kahā  javāb  meñ  saañp
use  mazāhir-e-hastī  se  saḳht  ulfat  thī
milā  vo  shaḳhs  chhupā.e  hue  naqāb  meñ  saañp
guzishta  raat  mujhe  paḌhte  vaqt  vahm  huā
varaq  pe  harf  nahīñ  haiñ  ye  haiñ  kitāb  meñ  saañp
ye  Dhaltī  raat  ye  kamre  meñ  gūñjtā  sahrā
umaDtā  ḳhauf  hai  dil  meñ  ki  pech-o-tāb  meñ  saañp
tamām  jalva-e-vahdat  hai  shaam  ho  ki  sahar
hai  jis  hisāb  meñ  sahrā  usī  hisāb  meñ  saañp