shor-e-tūfān-e-havā  hai  be-amāñ  sunte  raho
band  kūchoñ  meñ  ravāñ  hai  ḳhūn-e-jāñ  sunte  raho
kaan  sun  hone  lage  haiñ  apne  gosh-e-hosh  se
surḳh  pariyoñ  kī  sadā  dāman-kashāñ  sunte  raho
garmi-e-āvāz  ko  shola  banā  kar  phuul  sā
duur  tak  hadd-e-nazar  tak  rā.egāñ  sunte  raho
shorish-e-bahr-e-karam  meñ  māhi-e-mish.al  kahāñ
jism-e-shab  meñ  din  kī  dhaḌkan  be-gumāñ  sunte  raho
gāḌhī  tārīkī  meñ  bhārī  barg-e-ḳhvāhish  kī  mahak
misl  kauñde  ke  makāñ  andar  makāñ  sunte  raho