aab  o  giyā  se  be-niyāz  sard  jabīn-e-koh  par
garmī-e-rū-e-yār  kā  aks  bhī  rā.egāñ  gayā
sat.h  pe  taaza  phuul  haiñ  kaun  samajh  sakā  ye  raaz
aag  kidhar  kidhar  lagī  sho.ala  kahāñ  kahāñ  gayā
rāz-e-ḳhirad  ho  kuchh  bhī  ab  rāz-e-junūñ  to  ye  hai  bas
aañkh  thī  be-basar  rahī  tiir  thā  be-kamāñ  gayā
umr-e-ravāñ  kī  manzileñ  tūl-e-tavīl  muḳhtasar
aap  bhī  ham-safar  rahe  ġhair  bhī  ham-ināñ  gayā