patthar  kī  bhūrī  oT  meñ  laala  khilā  thā  kal
aaj  us  ko  noch  le  ga.iiñ  vo  bachchiyāñ  janāb
āñkhoñ  meñ  raushnī  kī  jagah  thā  ḳhudā  kā  naam
paañv  tuḌā  ke  mar  rahe  jaate  kahāñ  janāb
ham  barg-e-zard  sabz  ḳhalāoñ  meñ  chhup  ga.e
ham  ko  havā-e-sard  thī  sañg-e-girāñ  janāb
bose  ke  daaġh  se  hai  munavvar  jabīñ  magar
jaltī  paḌī  hai  sham.a  sī  pyāsī  zabāñ  janāb
kaalī  zamīñ  pe  chhantī  darīchoñ  se  raushnī
bāhar  to  jhāñkiye  hai  anokhā  samāñ  janāb
niilī  chamaktī  dhuup  to  biktī  nahīñ  kahīñ
ham  kis  ke  haath  bech  deñ  lafz-o-bayāñ  janāb