din-bhar  kī  dauḌ  raat  ke  auhām  vasvase
ThanDī  salonī  shaam  kī  ḳhush-bū  meñ  Dhal  ga.e
kirdār  qatl  karne  lage  log  yuuñ  ki  ham
apne  hī  ghar  meñ  baiTh  ke  āvāra  ban  ga.e
raqs-e-nasīm-e-maut  thā  har-chand  muḳhtasar
dariyā  ke  muñh  pe  phir  bhī  uchhal  aa.e  aable
nāzuk  hai  misl-e-māh  magar  surma.ī  badan
ai  jaañ  tujhe  ye  kis  ne  diye  ġhusl  aag  ke