Shamsur Rahman Faruqi

laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
laġhzish pā-e-hosh kā harf-e-javāz le ke ham
ḳhud ko samajhne aa.e haiñ rūh-e-majāz le ke ham
karb ke ek lamhe meñ laakh baras guzar ga.e
mālik-e-hashr kyā kareñ umr-e-darāz le ke ham
shaam kī dhundlī chhāñv meñ phaile haiñ saa.e daar ke
sajda kareñ ki aa.e haiñ zauq-e-namāz le ke ham
duur ufuq pe jā kahīñ donoñ lakīreñ mil ga.iiñ
aa.e to the huzūr-e-dil nāz-o-niyāz le ke ham
raat Dhalī hai chāñd gum duur jale haiñ do diye
raaz to hai pa kis ke paas jaa.eñ ye raaz le ke ham
raqs-e-sharar meñ kho ga.e barq ke dil se mil ga.e
lāla-o-gul meñ khil ga.e maut kā raaz le ke ham
rū-e-suḳhan badal gayā baḌhne lage haiñ fāsle
āh-e-sukūt munjamid baiThe haiñ saaz le ke ham
Top Urdushayar.com