laġhzish  pā-e-hosh  kā  harf-e-javāz  le  ke  ham
ḳhud  ko  samajhne  aa.e  haiñ  rūh-e-majāz  le  ke  ham
karb  ke  ek  lamhe  meñ  laakh  baras  guzar  ga.e
mālik-e-hashr  kyā  kareñ  umr-e-darāz  le  ke  ham
shaam  kī  dhundlī  chhāñv  meñ  phaile  haiñ  saa.e  daar  ke
sajda  kareñ  ki  aa.e  haiñ  zauq-e-namāz  le  ke  ham
duur  ufuq  pe  jā  kahīñ  donoñ  lakīreñ  mil  ga.iiñ
aa.e  to  the  huzūr-e-dil  nāz-o-niyāz  le  ke  ham
raat  Dhalī  hai  chāñd  gum  duur  jale  haiñ  do  diye
raaz  to  hai  pa  kis  ke  paas  jaa.eñ  ye  raaz  le  ke  ham
raqs-e-sharar  meñ  kho  ga.e  barq  ke  dil  se  mil  ga.e
lāla-o-gul  meñ  khil  ga.e  maut  kā  raaz  le  ke  ham
rū-e-suḳhan  badal  gayā  baḌhne  lage  haiñ  fāsle
āh-e-sukūt  munjamid  baiThe  haiñ  saaz  le  ke  ham