dekhiye  be-badanī  kaun  kahegā  qātil  hai
sāya-āsā  jo  phire  us  ko  pakaḌnā  mushkil  hai
rag-e-har-lafz  se  riste  hue  ḳhuuñ  se  ghabrā  kar
maiñ  jo  ḳhāmosh  rahā  sab  ne  kahā  ''tū  jāhil  hai''
tajraba  dil  meñ  rahe  to  khule  aañsū  ban  ban  kar
aur  kāġhaz  pe  chhalak  jaa.e  to  sham-e-mahfil  hai
jo  bharī  duniyā  kī  sañgīn  ajā.ib-nagrī  meñ
apnā  sar  aap  na  phoḌe  vo  jahannam  vāsil  hai
lab-e-dariyā  ko  milāne  kā  tarīqa  kaisā  hogā
donoñ  jhukte  haiñ  magar  biich  meñ  dariyā  haa.il  hai