idhar  se  dekheñ  to  apnā  makān  lagtā  hai
ik  aur  zāviye  se  āsamān  lagtā  hai
jo  tum  ho  paas  to  kahtā  hai  mujh  ko  chiir  ke  pheñk
vo  dil  jo  vaqt-e-duā  be-zabān  lagtā  hai
shurū-e-ishq  meñ  sab  zulf  o  ḳhat  se  Darte  haiñ
aḳhīr  umr  meñ  in  hī  meñ  dhyān  lagtā  hai
sarakne  lagtī  hai  tab  hī  qadam  tale  se  zamīn
jab  apne  haath  meñ  saarā  jahān  lagtā  hai
do  chaar  ghāTiyāñ  ik  dasht  kuchh  nadī  naale
bas  is  ke  ba.ad  hamārā  makān  lagtā  hai