mahfil  kā  nuur  marja-e-aġhyār  kaun  hai
ham  meñ  halāk-e-tāle-e-bedār  kaun  hai
ham  apne  saa.e  se  to  bhaḌak  kar  alif  hue
dekhā  nahīñ  magar  pas-e-dīvār  kaun  hai
har  lamhe  kī  kamar  pe  hai  ik  mahmil-e-sukūt
logo  batāo  qātil-e-guftār  kaun  hai
ghar  ghar  khile  haiñ  naaz  se  sūraj-mukhī  ke  phuul
sūraj  ko  phir  bhī  māne-e-dīdār  kaun  hai
patthar  uThā  ke  dard  kā  hiirā  jo  toḌ  de
vo  kaj-kulāh  bāñkā  tarah-dār  kaun  hai