mausam-e-sañg-o-rañg  se  rabt-e-sharār  kis  ko  thā
lahza-ba-lahza  jal  ga.ī  dard-e-bahār  kis  ko  thā
sarhad-e-āsmāñ  ke  paas  jaal  bichhe  the  har  taraf
kis  ne  kiyā  hameñ  asiir  shauq-e-shikār  kis  ko  thā
shams  o  nujūm  be-karāñ  haft-falak  nabard-gāh
raushniyoñ  kī  dauḌ  meñ  pā-e-farār  kis  ko  thā
chashm-e-shafaq  thī  ḳhūñ-nashīñ  chehra-e-shab  thā  teġh-e-tez
ḳhvāb  paḌe  the  taar  taar  sabr-o-qarār  kis  ko  thā
aaj  se  pahle  ham  sabhī  samjhe  the  us  ko  barg-e-gul
tajraba-e-jalālat-e-rū-e-nigār  kis  ko  thā
sāya-e-har-shajar  meñ  thā  reñgte  lamhoñ  kā  hujūm
ḳhaam  ḳhayāl-e-gardish-e-lail-o-nahār  kis  ko  thā
sāya-e-ablaq-e-shajar  ghaat  meñ  chashm-e-nīm-vā
paañv  jahāñ  the  jam  ga.e  hosh-e-farār  kis  ko  thā