maiñ  kyā  huuñ  mujhe  tum  ne  jo  āzār  pe  khīñchā
duniyā  ne  masīhāoñ  ko  bhī  daar  pe  khīñchā
zindoñ  kā  to  maskan  bhī  yahāñ  qabr-numā  hai
murdoñ  ko  magar  darja-e-autār  pe  khīñchā
vo  jaatā  rahā  aur  maiñ  kuchh  bol  na  paayā
chiḌiyoñ  ne  magar  shor  sā  dīvār  pe  khīñchā
kuchh  bhī  na  bachā  shahr  meñ  juz  rone  kī  rut  ke
har  sho.ala-e-āvāz  ko  malhār  pe  khīñchā
yūsuf  kabhī  nīlām  huā  kartā  thā  lekin
yūsuf  ko  bhī  is  shahr  ne  hai  daar  pe  khīñchā
phūTe  haiñ  mere  dil  meñ  phir  inkār  ke  sote
phir  dil  ne  mujhe  hālat-e-dushvār  pe  khīñchā
har  shai  kī  haqīqat  meñ  utar  jaa.eñ  ab  āñkheñ
zulmat  ne  mujhe  dīda-e-bedār  pe  khīñchā
dukh  ālam-e-insān  ke  the  jo  vo  chhupā.e
ḳhat  chāñd  ko  sar  karne  kā  aḳhbār  pe  khīñchā
tum  ne  to  'faqīh'  apnī  anā  kas  ke  mujhe  bhī
paikāñ  kī  tarah  hālat-e-paikār  pe  khīñchā