āñkhoñ  meñ  jo  hamārī  ye  jāloñ  ke  daaġh  haiñ
ye  to  hamāre  apne  ḳhayāloñ  ke  daaġh  haiñ
merī  hatheliyoñ  pe  jo  mehñdī  se  rach  ga.e
ye  āñsuoñ  meñ  bhīge  rumāloñ  ke  daaġh  haiñ
bāhar  nikal  ke  jism  se  jā.ūñ  to  kis  tarah
sāñkal  kahīñ  kahīñ  pe  ye  tāloñ  ke  daaġh  haiñ
tum  jin  ko  kah  rahe  ho  mire  qadmoñ  ke  nishāñ
vo  sab  to  mere  paañv  ke  chhāloñ  ke  daaġh  haiñ
kājal  meñ  ghul  ke  aur  ziyāda  nikhar  ga.e
ashkoñ  ko  ye  na  kahnā  ḳhayāloñ  ke  daaġh  haiñ
hal  hote  hote  us  kī  natīje  pe  aa  ga.e
jitne  javāb  haiñ  vo  savāloñ  ke  daaġh  haiñ
aate  hī  mere  paas  jo  akasr  chhalak  paḌe
hoñToñ  pe  mere  aise  hī  pyāloñ  ke  daaġh  haiñ
aise  bhī  log  haiñ  jo  sitāroñ  ko  dekh  kar
kahte  mileñ  haiñ  ye  to  ujāloñ  ke  daaġh  haiñ
jo  mujh  meñ  dekhte  haiñ  mire  bhī  haiñ  ai  'kuñvar'
kuchh  un  meñ  mujh  ko  dekhne  vāloñ  ke  daaġh  haiñ