is  vaqt  apne  tevar  puure  shabāb  par  haiñ
saare  jahāñ  se  kah  do  ham  inqalāb  par  haiñ
ham  ko  hamārī  nīndeñ  ab  chhū  nahīñ  sakeñgī
jis  tak  na  niiñd  pahuñche  us  ek  ḳhvāb  par  haiñ
un  qātiloñ  ke  chehre  ab  to  ughāriyegā
taaza  lahū  ke  dhabbe  jin  ke  naqāb  par  haiñ
apnī  laḌā.ī  hai  to  keval  usī  mahal  se
apne  lahū  kī  būñdeñ  jis  ke  gulāb  par  haiñ
kaise  miTā  sakegā  ham  ko  'kuñvar'  zamāna
ham  dastaḳhat  samay  ke  dil  kī  kitāb  par  haiñ