koī  nahīñ  hai  dekhne  vaalā  to  kyā  huā
terī  taraf  nahīñ  hai  ujālā  to  kyā  huā
chāroñ  taraf  havāoñ  meñ  us  kī  mahak  to  hai
murjhā  rahī  hai  saañs  kī  maalā  to  kyā  huā
badle  meñ  tujh  ko  de  to  ga.e  bhuuk  aur  pyaas
muñh  se  jo  tere  chhīnā  nivāla  to  kyā  huā
āñkhoñ  se  pī  rahā  huuñ  tire  pyaar  kī  sharāb
gar  chhuT  gayā  hai  haath  se  pyālā  to  kyā  huā
dhartī  ko  merī  zaat  se  kuchh  to  namī  milī
phūTā  hai  mere  paañv  kā  chhālā  to  kyā  huā
saare  jahāñ  ne  mujh  pe  lagā.ī  haiñ  tohmateñ
tum  ne  bhī  merā  naam  uchhālā  to  kyā  huā
sar  par  hai  maañ  ke  pyaar  kā  āñchal  paḌā  huā
mujh  par  nahīñ  hai  koī  dushāla  to  kyā  huā
manchoñ  pe  chuTkule  haiñ  latīfe  haiñ  āj-kal
manchoñ  pe  ne  haiñ  pant  nirālā  to  kyā  huā
ai  zindagī  tū  paas  meñ  baiThī  huī  to  hai
shīshe  meñ  tujh  ko  gar  nahīñ  Dhālā  to  kyā  huā
āñkhoñ  ke  ghar  meñ  aa.ī  nahīñ  raushnī  'kuñvar'
TuuTā  hai  phir  se  niiñd  kā  taalā  to  kyā  huā