ham  se  mat  pūchho  ki  ik  vo  chiiz  kyā  donoñ  meñ  hai
jo  milātā  hai  hameñ  vo  fāsla  donoñ  meñ  hai
us  ke  milne  kī  ḳhushī  ho  yā  bichhaḌ  jaane  kā  ġham
hosh  rahtā  hī  nahīñ  aisā  nasha  donoñ  meñ  hai
us  kī  āñkheñ  kaan  haiñ  aur  merī  āñkheñ  bhī  haiñ  hoñT
apnī  apnī  kahne  sunñe  kī  adā  donoñ  meñ  hai
giit  ke  sāñche  meñ  Dhālūñ  yā  ġhazal  ke  ruup  meñ
par  tire  hī  naam  kā  ik  qāfiya  donoñ  meñ  hai
yuuñ  kisī  āvāz  kā  chehrā  nahīñ  hotā  magar
jis  meñ  āvāzeñ  dikheñ  vo  aa.ina  donoñ  meñ  hai
is  ko  āstiktā  kaho  chāhe  nāstiktā  'kuñvar'
donoñ  ḳhat  us  ke  hī  haiñ  us  kā  pata  donoñ  meñ  hai