do-chār  baar  ham  jo  kabhī  hañs-hañsā  liye
saare  jahāñ  ne  haath  meñ  patthar  uThā  liye
rahte  hamāre  paas  to  ye  TūTte  zarūr
achchhā  kiyā  jo  apne  sapne  churā  liye
chāhā  thā  ek  phuul  ne  taḌpeñ  usī  ke  paas
ham  ne  ḳhushī  se  peḌoñ  meñ  kāñTe  bichhā  liye
āñkhoñ  meñ  aa.e  ashk  ne  āñkhoñ  se  ye  kahā
ab  roko  yā  girāo  hameñ  ham  to  aa  liye
sukh  jaise  bādaloñ  meñ  nahātī  huuñ  bijliyāñ
dukh  jaise  bijliyoñ  meñ  ye  bādal  nahā  liye
jab  ho  sakī  na  baat  to  ham  ne  yahī  kiyā
apnī  ġhazal  ke  sher  kahīñ  gungunā  liye
ab  bhī  kisī  darāz  meñ  mil  jā.eñge  tumheñ
vo  ḳhat  jo  tum  ko  de  na  sake  likh-likhā  liye