Kunwar Bechain

baDh rahi hai dil ki dhaDkan aandhiyon dhire chalo

Kunwar Bechain

Umri Kalan, Uttar pradesh, India

1942
baḌh rahī hai dil kī dhaḌkan āñdhiyoñ dhīre chalo
phir koī TuuTe na darpan āñdhiyoñ dhīre chalo
ye chaman saarā kā saarā āj-kal ḳhatre meñ hai
har taraf hai aag dushman āñdhiyoñ dhīre chalo
ek yug ke ba.ad bādal kā nayā āñchal milā
ḳhush bahut hai aaj sāvan āñdhiyoñ dhīre chalo
likh rahī hai ḳhushbuoñ ko ḳhat kamal kī pañkhuḌī
khil uThā hai jhiil kā man āñdhiyoñ āñdhiyoñ dhīre chalo
saarī sāñseñ āñdhiyāñ haiñ aur maiñ murthal kī ret
aur baḌh jaatī hai uljhan āñdhiyoñ dhīre chalo
saath in pachhuā havāoñ kā bahut achchhā nahīñ
kah rahā purvā.ī kā man āñdhiyoñ dhīre chalo
ye jo phūloñ kā nagar thā is meñ hī kāñToñ se ab
bhar gayā har ek āñgan āñdhiyoñ dhīre chalo
jag ga.e to zahr bhar deñge fazāoñ meñ 'kuñvar'
khul na jaa.eñ saañp ke phan āñdhiyoñ dhīre chalo
Top Urdushayar.com