gagan  meñ  jab  apnā  sitāra  na  dekhā
to  jiine  kā  koī  sahārā  na  dekhā
nazar  hai,  magar  vo  nazar  kyā  ki  jis  ne
ḳhud  apnī  nazar  kā  nazāra  na  dekhā
bhale  vo  Dubā.e  ubhāre  ki  ham  ne
bhañvar  dekh  lī  to  kināra  na  dekhā
vo  bas  naam  kā  aa.ina  hai  ki  jis  ne
kabhī  husn  ko  ḳhud  sañvārā  na  dekhā
tumheñ  jab  se  dekhā,  tumheñ  dekhte  haiñ
kabhī  muḌ  ke  ḳhud  ko  dobāra  na  dekhā
sabhī  nafratoñ  kī  davā  hai  mohabbat
ki  is  se  alag  koī  chārā  na  dekhā
maiñ  bādal  meñ  royā,  hañsā  bijliyoñ  meñ
kisī  ne  ye  merā  ishāra  na  dekhā
'kuñvar'  ham  usī  ke  hue  jā  rahe  haiñ
jise  ham  ne  ab  tak  pukārā  na  dekhā