e'tibār-e-shauq  ik  dhokā  sahī
e'tibār-e-shauq  par  hai  zindagī
suunī  yaado  tum  se  pahlū  hai  basā
suunī  yaado  tum  se  kyā  pahlū-tahī
dil  huā  chhalnī  to  naġhme  chhan  paḌe
baañs  meñ  rauzan  paḌe  to  bāñsurī
be-kasī  meñ  bhī  baḌā  kas-bal  hai  dost
maut  kyā  hai  ziist  ko  Thukrā  ke  jī
ham  ḳhudā  bhī  maan  leñge  aap  ko
aap  pahle  ho  to  jaa.eñ  aadmī
kyā  yad-e-baizā  se  kam  hai  dāġh-e-dil
mo.ajaza  rakhtā  huuñ  'āmir'-mūsvī