ye  kahānī  ye  fasāna  bas  isī  shab  bhar  kā  hai
zindagī  shīshe  kī  hai  aur  aadmī  patthar  kā  hai
dosto  is  daur  kī  sab  se  baḌī  ḳhūbī  hai  ye
aadmī  patthar  kā  dil  patthar  ghar  patthar  kā  hai
hai  vo  kitnā  ḳhūbsūrat  har  adā  bhī  dil-nashīñ
us  kī  bāteñ  mīThī  mīThī  par  asar  nashtar  kā  hai
ek  muddat  ho  ga.ī  aa.ī  na  manzil  aaj  tak
ye  karishma  bhī  mire  yaaro  mire  rahbar  kā  hai
kab  talak  rakhoge  ummīd-e-karam  us  but  se  tum
hai  to  vo  miTTī  kā  lekin  us  kā  dil  patthar  kā  hai
nā-ummīdī  be-yaqīnī  bebasī  be-chārgī
ek  terā  hī  nahīñ  ye  qissa  ab  ghar  ghar  kā  hai
ab  guzāra  ġhair-mumkin  shahr  meñ  hairat  jahāñ
zehn-o-dil  patthar  ke  tan  patthar  kā  ghar  patthar  kā  hai