har  bashar  kā  maqām  likkhā  hai
sab  kā  bā-zarf  kaam  likkhā  hai
mere  likkhe  pe  haq  kisī  kā  nahīñ
jo  likhā  tere  naam  likkhā  hai
ham  se  likhvā  rahā  hai  kis  kā  junūñ
kaun  hai  kis  kā  kaam  likkhā  hai
chiir  kar  dekh  le  mirā  siina
is  meñ  terā  hī  naam  likkhā  hai
soch  kar  jab  kabhī  likhā  maiñ  ne
jo  bhī  likkhā  hai  ḳhaam  likkhā  hai
likhne  vāloñ  kā  kyā  kahūñ  hamdam
sub.h  likkhā  hai  shaam  likkhā  hai
ḳhaas  likhte  haiñ  likhne  vaale  sab
jo  likhā  ham  ne  aam  likkhā  hai
pāniyoñ  aur  havā  pe  likh  na  sake
ham  ne  dhartī  pe  naam  likkhā  hai
jis  ko  jāgīr  apnī  vo  samjhe
us  pe  merā  bhī  naam  likkhā  hai
zahr  hī  zahr  apne  hisse  meñ
un  kī  qismat  meñ  jaam  likkhā  hai
us  kī  rahmat  kā  kyā  gila  'hairat'
dard-o-ġham  mere  naam  likkhā  hai