ab  adā  ham  se  namāz-e-zindagī  hotī  nahīñ
dil  jalāne  se  bhī  ab  to  raushnī  hotī  nahīñ
zindagānī  is  qadar  be-kaif  hai  kuchh  in  dinoñ
un  ke  aa  jaane  se  bhī  ab  to  ḳhushī  hotī  nahīñ
tez  ho  jaatī  thī  dhaḌkan  aate  hī  terā  ḳhayāl
naam  terā  sun  ke  bhī  ab  sansanī  hotī  nahīñ
husn  pe  martī  hai  duniyā  jis  pe  aatā  hai  zavāl
ham  se  aisī  chand  roza  āshiqī  hotī  nahīñ
yuuñ  to  ho  jaatī  haiñ  puurī  dhīre  dhīre  ḳhvāhisheñ
jis  kī  ham  ko  chaah  hai  bas  ik  vahī  hotī  nahīñ
pyaar  jis  ne  jitnā  māñgā  us  ko  itnā  de  diyā
kyā  ḳhazāna  hai  ki  us  meñ  kuchh  kamī  hotī  nahīñ
zabt-e-ġham  kī  sarhadoñ  ko  ham  ne  'hairat'  chhū  liyā
ġham  hoñ  chāhe  kitne  āñkhoñ  meñ  namī  hotī  nahīñ