tirī  be-niyāziyoñ  kā  mujhe  kuchh  gila  nahīñ  hai
mirā  dil  hai  ḳhuub  vāqif  tirā  dil  burā  nahīñ  hai
ġham-e-dost  dar-haqīqat  tirā  rahnumā-e-manzil
vahī  kam-nigāh  niklā  jise  hausla  nahīñ  hai
mire  ishq  kā  muqaddar  mirī  zindagī  kā  hāsil
ġham-e-yār  ke  alāva  koī  dūsrā  nahīñ  hai
tirā  dard  zindagī  hai  tirā  ġham  mirā  muqaddar
mujhe  aur  chāhiye  kyā  mire  ghar  meñ  kyā  nahīñ  hai
mujhe  tū  ne  baḳhsh  dī  hai  jo  sazā-e-dard-e-furqat
ye  to  ain  zindagī  hai  ye  sazā  sazā  nahīñ  hai
tirī  justujū  ke  sadqe  ye  khulā  hai  raaz  mujh  par
ki  myān-e-dair-o-ka.aba  koī  fāsla  nahīñ  hai
rah-e-ḳhalq  meñ  luTā  de  jo  matā.a-e-zindagānī
vahī  banda-e-ḳhudā  hai  vo  agar  ḳhudā  nahīñ  hai
na  junūñ  kī  had  hai  koī  hai  na  ishq  hī  muqayyad
kahāñ  jā  rahā  huuñ  yaaro  mujhe  kuchh  patā  nahīñ  hai
ye  jo  raushnī  hai  har  sū  to  ḳhirad  hai  kyoñ  pareshāñ
ye  jo  jal  rahā  hai  dil  hai  ye  koī  diyā  nahīñ  hai
mujhe  ishq  hai  ḳhudī  se  maiñ  farefta  huuñ  ḳhud  par
nahīñ  jo  qarīb  mere  vo  mirā  ḳhudā  nahīñ  hai
jo  mazā  hai  tishnagī  meñ  hai  jo  lutf-e-be-qarārī
tujhe  kyā  batā.ūñ  hamdam  tirā  dil  jalā  nahīñ  hai
kare  kyuuñ  asar  na  'hairat'  ye  ġhazal  tirī  diloñ  par
ye  navā-e-sāz-e-dil  hai  koī  falsafa  nahīñ  hai