dil  dukhānā  tumhārī  fitrat  hai
choT  khānā  hamārī  aadat  hai
mujh  ko  yūñhī  ḳharāb  honā  thā
be-sabab  tum  ko  kyuuñ  nadāmat  hai
jhāñk  kar  ek  baar  āñkhoñ  meñ
ḳhud  hī  paḌh  lo  jo  dil  kī  hālat  hai
rāh-e-ulfat  meñ  jaan  de  denā
is  se  baḌh  kar  koī  shahādat  hai
terī  furqat  ho  yā  tirī  qurbat
ek  dozaḳh  hai  ek  jannat  hai
tum  ne  dekhā  hai  aise  jalvoñ  ko
kis  liye  mujh  se  phir  shikāyat  hai
is  bharose  gunāh  kartā  huuñ
baḳhsh  denā  tumhārī  fitrat  hai
sū-e-mai-ḳhāna  uTh  chale  haiñ  qadam
jaise  ye  bhī  koī  ibādat  hai
zindagī  ko  sambhāl  kar  rakhnā
ek  be-dard  kī  amānat  hai
dard  hī  dard  jis  ke  sheroñ  meñ
aur  hai  kaun  sirf  'hairat'  hai