dar-e-ummīd  vā  nahīñ  hotā
ab  vo  jalva-numā  nahīñ  hotā
kitnī  pur-lutf  ziist  hotī  hai
jab  koī  aasrā  nahīñ  hotā
aañkh  se  gir  gayā  ho  jo  aañsū
vo  kisī  kaam  kā  nahīñ  hotā
ḳhud  garebāñ  meñ  jhāñk  kar  dekhā
koī  insāñ  burā  nahīñ  hotā
tū  sabhī  kā  hai  ik  hamāre  sivā
ham  se  bas  ye  gila  nahīñ  hotā
vahī  hotā  nahīñ  jo  ham  chāheñ
varna  hone  ko  kyā  nahīñ  hotā
jaan  kar  maiñ  ḳhamosh  huuñ  'hairat'
mujh  se  us  kā  gila  nahīñ  hotā