dard  ban  ke  kabhī  ġham  ban  ke  satātā  hī  rahā
apne  hone  kā  vo  ehsās  dilātā  hī  rahā
vo  ḳharīdār  to  muddat  huī  aatā  hī  rahā
maiñ  dukāñ  hīroñ  kī  palkoñ  pe  sajātā  hī  rahā
haa.e  vo  us  ke  judā  hone  kā  manzar  yārab
vo  chalā  bhī  gayā  maiñ  haath  hilātā  hī  rahā
gahrī  tārīkī  thī  sannāTā  thā  par  ik  jugnū
raushnī  kā  mujhe  ehsās  dilātā  hī  rahā
har  nayā  daur  na.e  le  ke  charāġh  aayā  kiyā
ik  añdherā  sā  magar  ziist  pe  chhātā  hī  rahā
merī  bezār  tabī.at  ko  sukūñ  mil  na  sakā
yuuñ  to  har  roz  tirī  bazm  meñ  jaatā  hī  rahā
na  samajh  paayā  ye  insān  mazāhib  ke  husūl
ghar  yahāñ  bhaa.ī  kā  ḳhud  bhaa.ī  jalātā  hī  rahā
ab  ke  bādal  ko  ḳhudā  jaane  huā  kyā  aisā
jab  bhī  barsā  to  harī  fasl  jalātā  hī  rahā
saarā  din  us  ke  tasavvur  se  huā  kī  bāteñ
ḳhvāb  ban  ke  mirī  rātoñ  ko  sajātā  hī  rahā
sher-o-fan  us  kā  hai  mamnūn  dabī  aahoñ  meñ
apne  ġham  se  mirī  ġhazloñ  ko  sajātā  hī  rahā
vaqt  ke  saath  badal  jaatā  maiñ  lekin  har  pal
merā  maazī  mujhe  ā.īna  dikhātā  hī  rahā
ek  ma.asūm  sā  pākīza  sā  jazba  'hairat'
jab  bhī  bahkā  to  mujhe  raah  pe  laatā  hī  rahā